bahisht-zar hasin gul-kade mein rahte the
bahisht-zār hasīñ gul-kade meñ rahte the
ham ek saath kisī mintaqe meñ rahte the
na jaane kaun se pal kā thā intizār hameñ
na jaane kab se ham ik dūsre meñ rahte the
yahīñ kahīñ the pareshān ḳhvāb kī sūrat
kabhī to niiñd kabhī ratjage meñ rahte the
bahut sī jhīleñ tire chashm-o-lab se miltī thiiñ
bahut se peḌ mire rāste meñ rahte the
zamānoñ baa'd kahīñ sāmnā huā apnā
safar meñ the magar ik dā.ere meñ rahte the
kahīñ jagah hī nahīñ thī hameñ samāne ko
ham apnī zaat ke hairat-kade meñ rahte the
hamārī raushnī to ek thī vajūd alag
ki do charāġh the ik tāqche meñ rahte the
yaqīn jaan ki ik dūsre kā aks the ham
aur ek saath kisī ā.īne meñ rahte the
ajiib gosha-e-tanhā.ī meñ paḌā huā huuñ
tamām log kabhī rābte meñ rahte the
bahisht-zar hasin gul-kade mein rahte the
hum ek sath kisi mintaqe mein rahte the
na jaane kaun se pal ka tha intizar hamein
na jaane kab se hum ek dusre mein rahte the
yahin kahin the pareshan KHwab ki surat
kabhi to nind kabhi ratjage mein rahte the
bahut si jhilen tere chashm-o-lab se milti thin
bahut se peD mere raste mein rahte the
zamanon ba'd kahin samna hua apna
safar mein the magar ek daere mein rahte the
kahin jagah hi nahin thi hamein samane ko
hum apni zat ke hairat-kade mein rahte the
hamari raushni to ek thi wajud alag
ki do charagh the ek taqche mein rahte the
yaqin jaan ki ek dusre ka aks the hum
aur ek sath kisi aaine mein rahte the
ajib gosha-e-tanhai mein paDa hua hun
tamam log kabhi rabte mein rahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.