bahlaenge firaq mein dil ko fughan se hum
bahlā.eñge firāq meñ dil ko fuġhāñ se ham
taskīn pā.eñge to usī dāstāñ se ham
haiñ vus.at-e-ḳhayāl tirī ye ināyateñ
āzād ho ga.e haiñ jo qaid-e-makāñ se ham
phūloñ ke ās-pās the kāñTe bhī saiñkaḌoñ
māyūs-o-nā-murād phire gulsitāñ se ham
majbūrī-e-firāq ne ma.azūr kar diyā
laa.eñ ḳhayāl-e-zabt-e-mohabbat kahāñ se ham
phir vahshat-e-ḳhayāl ne āġhosh meñ liyā
ai ġhairat-e-shakeb chale ab yahāñ se ham
pūchhā jo us ne haal to ḳhāmosh ho ga.e
tashrīh-e-dard kar na sake kuchh zabāñ se ham
gir kar chaman ko barq ne tārāj kar diyā
nikle the kyā samajh ke abhī āshiyāñ se ham
jo kārvāñ thā vādī-e-ulfat meñ rahnumā
āḳhir bichhaḌ ke rah ga.e us kārvāñ se ham
uTThe jabīn-e-shauq ye amr-e-muhāl hai
kuchh faiz pā rahe haiñ tire āstāñ se ham
jalve kā eqtidār hai zauq-e-nigāh par
dekheñ kisī ke husn ko haT kar jahāñ se ham
barq-e-sharar-navāz bhī sharmā ke rah ga.ī
is bebasī ke saath chale āshiyāñ se ham
pahuñchā na koshishoñ pe kisī kā ḳhayāl bhī
kitne buland-tar rahe vahm-o-gumāñ se ham
yuuñ intiḳhāb-e-zauq-e-mohabbat muhāl thā
ik gul bhī le sake na 'vafā' gulsitāñ se ham
bahlaenge firaq mein dil ko fughan se hum
taskin paenge to usi dastan se hum
hain wusat-e-KHayal teri ye inayaten
aazad ho gae hain jo qaid-e-makan se hum
phulon ke aas-pas the kanTe bhi sainkaDon
mayus-o-na-murad phire gulsitan se hum
majburi-e-firaq ne mazur kar diya
laen KHayal-e-zabt-e-mohabbat kahan se hum
phir wahshat-e-KHayal ne aaghosh mein liya
ai ghairat-e-shakeb chale ab yahan se hum
puchha jo us ne haal to KHamosh ho gae
tashrih-e-dard kar na sake kuchh zaban se hum
gir kar chaman ko barq ne taraj kar diya
nikle the kya samajh ke abhi aashiyan se hum
jo karwan tha wadi-e-ulfat mein rahnuma
aaKHir bichhaD ke rah gae us karwan se hum
uTThe jabin-e-shauq ye amr-e-muhaal hai
kuchh faiz pa rahe hain tere aastan se hum
jalwe ka eqtidar hai zauq-e-nigah par
dekhen kisi ke husn ko haT kar jahan se hum
barq-e-sharar-nawaz bhi sharma ke rah gai
is bebasi ke sath chale aashiyan se hum
pahuncha na koshishon pe kisi ka KHayal bhi
kitne buland-tar rahe wahm-o-guman se hum
yun intiKHab-e-zauq-e-mohabbat muhaal tha
ek gul bhi le sake na 'wafa' gulsitan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.