bahr-e-gham mein ghota-zan hain kaisi kaisi hastiyan
bahr-e-ġham meñ ġhota-zan haiñ kaisī kaisī hastiyāñ
dard-e-sāhil pe hī kyoñ tum le rahe ho siskiyāñ
ret ke kachche gharauñde bah ga.e to fikr kyā
ek din sailāb le jā.egā saarī bastiyāñ
ek din phūloñ kī laalī tak churā le jā.eñgī
is chaman kī muḳhtalif rañgoñ kī uḌtī titliyāñ
ek jānib mai-kada hai ik taraf hai ḳhānqāh
dekhiye jaatī kidhar haiñ sūfiyoñ kī Toliyāñ
pahle mujh pe ek vahī uñglī uThātā thā 'sabā'
aur ab to be-shumār uThtī haiñ mujh pe uñgliyāñ
bahr-e-gham mein ghota-zan hain kaisi kaisi hastiyan
dard-e-sahil pe hi kyon tum le rahe ho siskiyan
ret ke kachche gharaunde bah gae to fikr kya
ek din sailab le jaega sari bastiyan
ek din phulon ki lali tak chura le jaengi
is chaman ki muKHtalif rangon ki uDti titliyan
ek jaanib mai-kada hai ek taraf hai KHanqah
dekhiye jati kidhar hain sufiyon ki Toliyan
pahle mujh pe ek wahi ungli uThata tha 'saba'
aur ab to be-shumar uThti hain mujh pe ungliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.