bahr-e-rang-e-dastan rahne diya
bahr-e-rang-e-dāstāñ rahne diyā
ik tajassus darmiyāñ rahne diyā
ab zamīñ ban kar bichhā jaatā hai vo
maiñ ne jis ko āsmāñ rahne diyā
raushnī aur ḳhvāb saare hech the
apnī āñkhoñ meñ dhuāñ rahne diyā
vo jagah raushan nahīñ hogī kabhī
is mohabbat ko jahāñ rahne diyā
maañ ne māthā chuum kar ruḳhsat kiyā
māmtā kā sā.ebāñ rahne diyā
kul milā ke ye hai rāz-e-tishnagī
ham ne dil ko sargirāñ rahne diyā
ḳhud hamī pāmāl Thahre shauq se
ḳhush-gumāñ ko ḳhush-gumāñ rahne diyā
bahr-e-rang-e-dastan rahne diya
ek tajassus darmiyan rahne diya
ab zamin ban kar bichha jata hai wo
main ne jis ko aasman rahne diya
raushni aur KHwab sare hech the
apni aankhon mein dhuan rahne diya
wo jagah raushan nahin hogi kabhi
is mohabbat ko jahan rahne diya
man ne matha chum kar ruKHsat kiya
mamta ka saeban rahne diya
kul mila ke ye hai raaz-e-tishnagi
hum ne dil ko sargiran rahne diya
KHud hami pamal Thahre shauq se
KHush-guman ko KHush-guman rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.