bahr-e-ulfat ka kahin koi kinara hi nahin
bahr-e-ulfat kā kahīñ koī kinārā hī nahīñ
dasht-e-furqat kā dil-afroz nazārā hī nahīñ
ab na taḌpāo mujhe chāragarī kī ḳhātir
aa bhī jaao ki mujhe zabt kā yaarā hī nahīñ
maiñ ne paimān-e-vafā bāñdh liyā hai us se
jis ko ik lamha mirā saath gavārā hī nahīñ
milte hī pher liiñ is tarah nigāheñ sab ne
aisā lagtā hai koī un meñ hamārā hī nahīñ
apnī āshufta-sarī kā jo mudāvā kartā
asr-e-hāzir meñ koī aisā sahārā hī nahīñ
aisā kyā thā ki payambar use kahtī duniyā
dast-e-mānī ne koī naqsh ubhārā hī nahīñ
ham ne 'bismil' ġham-o-ālām se bai'at kar lī
mā-sivā in ke kisī ko bhī pukārā hī nahīñ
bahr-e-ulfat ka kahin koi kinara hi nahin
dasht-e-furqat ka dil-afroz nazara hi nahin
ab na taDpao mujhe chaaragari ki KHatir
aa bhi jao ki mujhe zabt ka yara hi nahin
main ne paiman-e-wafa bandh liya hai us se
jis ko ek lamha mera sath gawara hi nahin
milte hi pher lin is tarah nigahen sab ne
aisa lagta hai koi un mein hamara hi nahin
apni aashufta-sari ka jo mudawa karta
asr-e-hazir mein koi aisa sahaara hi nahin
aisa kya tha ki payambar use kahti duniya
dast-e-mani ne koi naqsh ubhaara hi nahin
hum ne 'bismil' gham-o-alam se bai'at kar li
ma-siwa in ke kisi ko bhi pukara hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.