bahr mein daere to honge hi
bahr meñ dā.ere to hoñge hī
pyaar meñ vasvase to hoñge hī
ḳhvāb thā us kī shoḳh āñkhoñ kā
ḳhvāb ke zāviye to hoñge hī
roz tum phūl-ban meñ jaate the
lāziman gul khile to hoñge hī
ye koī ishq to nahīñ hai huzūr
job hai mas.ale to hoñge hī
dil hai vīrāñ to rah nahīñ saktā
dard is meñ base to hoñge hī
ye mohabbat hai dostī to nahīñ
ma.azarat shukriye tau hoñge hī
jab mohabbat pe baat kī tum ne
log tum par hañse to hoñge hī
bhāgte vaqt ke ka.ī lamhe
camere se khiñche to hoñge hī
aap gaaḌī baḌhā.iye apnī
road par hādse to hoñge hī
sach zarā hausle se suniyegā
lafz kuchh khurdure to hoñge hī
aap jab dekhte haiñ ā.īna
aa.ine dekhte to hoñge hī
ho na ho is ġhazal meñ kaifiyyat
munfarid qāfiye to hoñge hī
tāza-kārī kī mashq jaarī hai
sher meñ chuTkule to hoñge hī
bahr mein daere to honge hi
pyar mein waswase to honge hi
KHwab tha us ki shoKH aankhon ka
KHwab ke zawiye to honge hi
roz tum phul-ban mein jate the
laziman gul khile to honge hi
ye koi ishq to nahin hai huzur
job hai masale to honge hi
dil hai viran to rah nahin sakta
dard is mein base to honge hi
ye mohabbat hai dosti to nahin
mazarat shukriye tau honge hi
jab mohabbat pe baat ki tum ne
log tum par hanse to honge hi
bhagte waqt ke kai lamhe
camere se khinche to honge hi
aap gaDi baDhaiye apni
road par hadse to honge hi
sach zara hausle se suniyega
lafz kuchh khurdure to honge hi
aap jab dekhte hain aaina
aaine dekhte to honge hi
ho na ho is ghazal mein kaifiyyat
munfarid qafiye to honge hi
taza-kari ki mashq jari hai
sher mein chuTkule to honge hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.