bahr-o-bar mein kalam us ka hai
bahr-o-bar meñ kalām us kā hai
zikr us kā hai naam us kā hai
sab ko detā hai vo sharāb apnī
hai jo gardish meñ jaam us kā hai
mahv-e-hairat haiñ dekhne vaale
itnā ūñchā maqām us kā hai
hai vahī harf harf tābinda
jis ke andar payām us kā hai
vo hai ġhā.eb magar azal hī se
har qadam par nizām us kā hai
rahguzar us ke qāfile us ke
raḳhsh bhī tez gaam us kā hai
ham to sab aarzī musāfir haiñ
jāvedānī qiyām us kā hai
kār-gāhoñ meñ dast-o-pā us ke
un se vābasta kaam us kā hai
kā.enāt us kī be-karāñ hai 'kañval'
jis meñ sab ehtimām us kā hai
bahr-o-bar mein kalam us ka hai
zikr us ka hai nam us ka hai
sab ko deta hai wo sharab apni
hai jo gardish mein jam us ka hai
mahw-e-hairat hain dekhne wale
itna uncha maqam us ka hai
hai wahi harf harf tabinda
jis ke andar payam us ka hai
wo hai ghaeb magar azal hi se
har qadam par nizam us ka hai
rahguzar us ke qafile us ke
raKHsh bhi tez gam us ka hai
hum to sab aarzi musafir hain
jawedani qiyam us ka hai
kar-gahon mein dast-o-pa us ke
un se wabasta kaam us ka hai
kaenat us ki be-karan hai 'kanwal'
jis mein sab ehtimam us ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.