bahr se dariya bana dariya se kuza ho gaya
bahr se dariya bana dariya se kuza ho gaya
Sabeeha Farhat Sambhali
MORE BYSabeeha Farhat Sambhali
bahr se dariyā banā dariyā se kuuza ho gayā
martaba kyā thā tumhārī bazm meñ kyā ho gayā
vaqt badlā to sabhī kuchh ulTā-pulTā ho gayā
phuul khilte the jahāñ kal aaj sahrā ho gayā
ye mire aslāf kī merāj-e-ulfat thī ki jo
tez-rau dariyā rukā dariyā meñ rasta ho gayā
jaane ye āshuftagī mujh ko kahāñ le jā.egī
aaj phir qalb-e-hazīñ ko un kā dhokā ho gayā
fā.elātun fā.elātun fā.elātun fā.elun
dekhiye bahr-e-ramal meñ sher kaisā ho gayā
inqilāb-e-dahr kā ye bhī ajūba ḳhuub hai
ḳhuun insānoñ kā 'farhat' sab se sastā ho gayā
bahr se dariya bana dariya se kuza ho gaya
martaba kya tha tumhaari bazm mein kya ho gaya
waqt badla to sabhi kuchh ulTa-pulTa ho gaya
phul khilte the jahan kal aaj sahra ho gaya
ye mere aslaf ki meraj-e-ulfat thi ki jo
tez-rau dariya ruka dariya mein rasta ho gaya
jaane ye aashuftagi mujh ko kahan le jaegi
aaj phir qalb-e-hazin ko un ka dhoka ho gaya
faelatun faelatun faelatun faelun
dekhiye bahr-e-ramal mein sher kaisa ho gaya
inqilab-e-dahr ka ye bhi ajuba KHub hai
KHun insanon ka 'farhat' sab se sasta ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.