bahs be-kar kar raha hun main
bahs be-kār kar rahā huuñ maiñ
jabr nā-chār kar rahā huuñ meñ
dil dhaḌakne ko ab nahīñ raazī
dil ko tayyār kar rahā huuñ maiñ
kyoñ sazā de nahīñ rahe āḳhir
jab ki iqrār kar rahā huuñ maiñ
kis tarah ek saḳht patthar se
dekho takrār kar rahā huuñ maiñ
ḳhud ko achchhī tarah se dekh liyā
ḳhud se inkār kar rahā huuñ maiñ
jāntā huuñ javāb maiñ us kā
phir bhī isrār kar rahā huuñ maiñ
vo jo chhup kar na kar sakā koī
biich bāzār kar rahā huuñ maiñ
jo davā ke liye chale aa.e
un ko bīmār kar rahā huuñ
bahs be-kar kar raha hun main
jabr na-chaar kar raha hun mein
dil dhaDakne ko ab nahin raazi
dil ko tayyar kar raha hun main
kyon saza de nahin rahe aaKHir
jab ki iqrar kar raha hun main
kis tarah ek saKHt patthar se
dekho takrar kar raha hun main
KHud ko achchhi tarah se dekh liya
KHud se inkar kar raha hun main
jaanta hun jawab main us ka
phir bhi israr kar raha hun main
wo jo chhup kar na kar saka koi
bich bazar kar raha hun main
jo dawa ke liye chale aae
un ko bimar kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.