bahte dariya ki tarah ashk fishani apni
bahte dariyā kī tarah ashk fishānī apnī
jā milī us ke samundar se ravānī apnī
ye dar-o-bām hamāre the so ham log inheñ
chhoḌte vaqt diye jaa.eñ nishānī apnī
us ke dil-bāġh se utre to hameñ pahroñ talak
yaad aatī rahī zanjīr purānī apnī
rauzan-e-chashm se aatī hai sadā sīnoñ kī
kho deñ tāsīr jahāñ harf-o-ma.ānī apnī
koī dopahr palaT aa.ī to afsos huā
kaisī galiyoñ meñ guzār aa.e javānī apnī
bahte dariya ki tarah ashk fishani apni
ja mili us ke samundar se rawani apni
ye dar-o-baam hamare the so hum log inhen
chhoDte waqt diye jaen nishani apni
us ke dil-bagh se utre to hamein pahron talak
yaad aati rahi zanjir purani apni
rauzan-e-chashm se aati hai sada sinon ki
kho den tasir jahan harf-o-maani apni
koi dopahr palaT aai to afsos hua
kaisi galiyon mein guzar aae jawani apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.