bahte dariya tham jaenge thoDa waqt guzarne do
bahte dariyā tham jā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
vo bhī ab na yaad ā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
na.e na.e un se bichhḌe haiñ taaza haiñ saare aañsū
ye mausam bhī murjhā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
gard kī moTī tah jamne do kuchh to din kī āñkhoñ par
raushan manzar dhuñdlā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
kab tak tanhā.ī ko apnā monis-o-hamdam jāneñge
is se bhī dil uktā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
dhīre dhīre chup rahne kī aadat sī ho jā.egī
dīvār-o-dar katrā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
āḳhir āḳhir sab kuchh khone kā andāza bhī hogā
vo bhī ik din pachhtā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
aaj to apne saa.e se bhī bhāge bhāge phirte haiñ
kal ye ġham hī kaam ā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
kaam na ā.eñgī jab āñkheñ thake thake jab hoñge paañv
bachche rasta dikhlā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
yādoñ kā sailāb bhī jam jā.egā siine meñ 'parvāz'
aañsū patthar ho jā.eñge thoḌā vaqt guzarne do
bahte dariya tham jaenge thoDa waqt guzarne do
wo bhi ab na yaad aaenge thoDa waqt guzarne do
nae nae un se bichhDe hain taza hain sare aansu
ye mausam bhi murjhaenge thoDa waqt guzarne do
gard ki moTi tah jamne do kuchh to din ki aankhon par
raushan manzar dhundlaenge thoDa waqt guzarne do
kab tak tanhai ko apna monis-o-hamdam jaanenge
is se bhi dil uktaenge thoDa waqt guzarne do
dhire dhire chup rahne ki aadat si ho jaegi
diwar-o-dar katraenge thoDa waqt guzarne do
aaKHir aaKHir sab kuchh khone ka andaza bhi hoga
wo bhi ek din pachhtaenge thoDa waqt guzarne do
aaj to apne sae se bhi bhage bhage phirte hain
kal ye gham hi kaam aaenge thoDa waqt guzarne do
kaam na aaengi jab aankhen thake thake jab honge panw
bachche rasta dikhlaenge thoDa waqt guzarne do
yaadon ka sailab bhi jam jaega sine mein 'parwaz'
aansu patthar ho jaenge thoDa waqt guzarne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.