bahte dariyaon tak aaenge uTha lenge tumhein
bahte dariyāoñ tak ā.eñge uThā leñge tumheñ
mere hoñThoñ se ḳhabar-dār churā leñge tumheñ
jam' ho jaa.e zarā aur ḳhamoshī dil meñ
ham isī dil kī ḳhamoshī se banā leñge tumheñ
dā’vedāroñ kī yahāñ bhiiḌ lagī hai lekin
masnad-e-dil pe bahar-hāl biThā leñge tumheñ
qatra-e-ḳhūñ ho to ḳhanjar pe rakheñge tum ko
aur aañsū ho to palkoñ pe sajā leñge tumheñ
vaqt ke hāthoñ se bachtā hai yahāñ kaun magar
saḳht hairat hai ki ik roz ye aa leñge tumheñ
abhī kuchh aur zamāne pe 'ayāñ ho jaa.eñ
dekhnā saare zamāne se chhupā leñge tumheñ
tum bhī ik roz kisī aur meñ pā loge hameñ
ham bhī ik roz kisī aur meñ pā leñge tumheñ
bahte dariyaon tak aaenge uTha lenge tumhein
mere honThon se KHabar-dar chura lenge tumhein
jam' ho jae zara aur KHamoshi dil mein
hum isi dil ki KHamoshi se bana lenge tumhein
da’wedaron ki yahan bhiD lagi hai lekin
masnad-e-dil pe bahar-haal biTha lenge tumhein
qatra-e-KHun ho to KHanjar pe rakhenge tum ko
aur aansu ho to palkon pe saja lenge tumhein
waqt ke hathon se bachta hai yahan kaun magar
saKHt hairat hai ki ek roz ye aa lenge tumhein
abhi kuchh aur zamane pe 'ayan ho jaen
dekhna sare zamane se chhupa lenge tumhein
tum bhi ek roz kisi aur mein pa loge hamein
hum bhi ek roz kisi aur mein pa lenge tumhein
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 93)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.