bahte hue dariya ke kinaron ki tarah tha
bahte hue dariyā ke kināroñ kī tarah thā
tujh se mirā rishta kabhī ḳhvāboñ kī tarah thā
bistar pe utar aa.ī thiiñ mahtāb kī kirneñ
lahja tirā kal raat ujāloñ kī tarah thā
maiñ us ko paḌhā kartā thā har raat bahut der
vo shaḳhs mire paas kitāboñ kī tarah thā
kyā lams thā kyā zulf thī kyā surḳhī-e-lab thī
har rañg tirā jaise sharāboñ kī tarah thā
kuchh der ko ḳhush kar ke chale saare jahāñ ko
kyā apnā ta.alluq bhī tamāshoñ kī tarah thā
duniyā ne bahut chāhā ki naam us kā batā duuñ
vo dafn thā mujh meñ mire rāzoñ kī tarah thā
khone nahīñ detā thā mujhe bhiiḌ meñ ehsās
jakḌe hue mujh ko tirī bāñhoñ kī tarah thā
bahte hue dariya ke kinaron ki tarah tha
tujh se mera rishta kabhi KHwabon ki tarah tha
bistar pe utar aai thin mahtab ki kirnen
lahja tera kal raat ujalon ki tarah tha
main us ko paDha karta tha har raat bahut der
wo shaKHs mere pas kitabon ki tarah tha
kya lams tha kya zulf thi kya surKHi-e-lab thi
har rang tera jaise sharabon ki tarah tha
kuchh der ko KHush kar ke chale sare jahan ko
kya apna talluq bhi tamashon ki tarah tha
duniya ne bahut chaha ki nam us ka bata dun
wo dafn tha mujh mein mere raazon ki tarah tha
khone nahin deta tha mujhe bhiD mein ehsas
jakDe hue mujh ko teri banhon ki tarah tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.