bahti hui aankhon se dhuan dekh raha hun
bahtī huī āñkhoñ se dhuāñ dekh rahā huuñ
sho.aloñ meñ ghirā apnā makāñ dekh rahā huuñ
bachpan jahāñ biitā jahāñ aa.ī thī javānī
us shahr meñ ab jā-e-amāñ dekh rahā huuñ
jo haath huā karte the āġhosh-e-mohabbat
un hāthoñ meñ ab tīr-o-kamāñ dekh rahā huuñ
sab aap ke chehre kī taraf dekh rahe haiñ
maiñ aap ke qadmoñ ke nishāñ dekh rahā huuñ
tanqīd-nigāroñ meñ na karnā mujhe shāmil
maiñ aap kā andāz-e-bayāñ dekh rahā huuñ
ḳhud apnī hī gardan kā hai nuqsān ziyāda
maiñ itnī bulandī pe kahāñ dekh rahā huuñ
har lamha hī naġhmāt-e-tarab rahte the jin par
in hoñToñ pe ab āh-o-fuġhāñ dekh rahā huuñ
yāroñ kī jo mahfil thī kabhī anjuman-e-ḳhās
'anjum' vahīñ andesha-e-jāñ dekh rahā huuñ
bahti hui aankhon se dhuan dekh raha hun
shoalon mein ghira apna makan dekh raha hun
bachpan jahan bita jahan aai thi jawani
us shahr mein ab ja-e-aman dekh raha hun
jo hath hua karte the aaghosh-e-mohabbat
un hathon mein ab tir-o-kaman dekh raha hun
sab aap ke chehre ki taraf dekh rahe hain
main aap ke qadmon ke nishan dekh raha hun
tanqid-nigaron mein na karna mujhe shamil
main aap ka andaz-e-bayan dekh raha hun
KHud apni hi gardan ka hai nuqsan ziyaada
main itni bulandi pe kahan dekh raha hun
har lamha hi naghmat-e-tarab rahte the jin par
in honTon pe ab aah-o-fughan dekh raha hun
yaron ki jo mahfil thi kabhi anjuman-e-KHas
'anjum' wahin andesha-e-jaan dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.