bahut aasan hai baam-o-dar banana
bahut āsāñ hai bām-o-dar banānā
bahut dushvār lekin ghar banānā
agar dil ko masarrat kī talab ho
to is ko ranj kā ḳhūgar banānā
na sah paao agar patthar kī choTeñ
to shīshe kā na hargiz ghar banānā
ab is andāz se ham kyoñ na socheñ
ki hai is nasl ko behtar banānā
hadeñ āfāq kī miltī hoñ jis se
dayār-e-fikr meñ vo ghar banānā
agar patthar hī puuje jā rahe hoñ
to phir lāzim hai dil patthar banānā
nishāñ milnā ho jab manzil kā mushkil
to apne dil ko phir rahbar banānā
koī bātoñ kā hāsil hī na ho jab
to kyā bātoñ ko dard-e-sar banānā
'sahar' jo tarjumān-e-jazb-e-dil ho
banānā to vahī paikar banānā
bahut aasan hai baam-o-dar banana
bahut dushwar lekin ghar banana
agar dil ko masarrat ki talab ho
to is ko ranj ka KHugar banana
na sah pao agar patthar ki choTen
to shishe ka na hargiz ghar banana
ab is andaz se hum kyon na sochen
ki hai is nasl ko behtar banana
haden aafaq ki milti hon jis se
dayar-e-fikr mein wo ghar banana
agar patthar hi puje ja rahe hon
to phir lazim hai dil patthar banana
nishan milna ho jab manzil ka mushkil
to apne dil ko phir rahbar banana
koi baaton ka hasil hi na ho jab
to kya baaton ko dard-e-sar banana
'sahar' jo tarjuman-e-jazb-e-dil ho
banana to wahi paikar banana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.