bahut ab ho chuka girya chalo ab ghar ko jate hain
bahut ab ho chukā girya chalo ab ghar ko jaate haiñ
bahut sī bāteñ karte haiñ bahut sā muskurāte haiñ
kabhī phir ye siyah rāteñ hameñ tanhā na pā.eñgī
chalo ham saath meñ mil kar milan kā giit gaate haiñ
ye shāyad un kī fitrat hai yā mujh ko aisā lagtā hai
baḌe hī maan se kuchh log dil se khel jaate haiñ
hameñ achchhe the vo din jab diloñ ke rishte sachche the
ġharaz ke saare bande haiñ ġharaz se milne aate haiñ
hameñ kuchh dostoñ ke saath biite pal nahīñ bhūle
ham āñkheñ muuñd lete haiñ to vo pal lauT aate haiñ
vo hogā ishq yā phir hogī koī un kī majbūrī
kisī ke dil kā aalam ham bhalā kab jaan paate haiñ
ḳhudā apnā jahāñ apnā zamīñ apnī falak apnā
ye sab kuchh apnā hai 'faisal' magar ham bhuul jaate haiñ
bahut ab ho chuka girya chalo ab ghar ko jate hain
bahut si baaten karte hain bahut sa muskuraate hain
kabhi phir ye siyah raaten hamein tanha na paengi
chalo hum sath mein mil kar milan ka git gate hain
ye shayad un ki fitrat hai ya mujh ko aisa lagta hai
baDe hi man se kuchh log dil se khel jate hain
hamein achchhe the wo din jab dilon ke rishte sachche the
gharaz ke sare bande hain gharaz se milne aate hain
hamein kuchh doston ke sath bite pal nahin bhule
hum aankhen mund lete hain to wo pal lauT aate hain
wo hoga ishq ya phir hogi koi un ki majburi
kisi ke dil ka aalam hum bhala kab jaan pate hain
KHuda apna jahan apna zamin apni falak apna
ye sab kuchh apna hai 'faisal' magar hum bhul jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.