bahut andhera hai par thoDi raushni bhi hai
bahut añdherā hai par thoḌī raushnī bhī hai
kisī kā ġham bhī hai lekin koī ḳhushī bhī hai
ye us kī marzī hai donoñ meñ jis kā 'ishq chune
kisī kā pahlā kisī kā ye āḳhirī bhī hai
bhulā diyā lagā jis ko use bhulāyā nahīñ
bahut 'azīz hai vo ġham vo ġham abhī bhī hai
tumhārā shor sunā.ī nahīñ diyā kartā
magar hamārī ye ḳhāmoshī chīḳhtī bhī hai
bahut andhera hai par thoDi raushni bhi hai
kisi ka gham bhi hai lekin koi KHushi bhi hai
ye us ki marzi hai donon mein jis ka 'ishq chune
kisi ka pahla kisi ka ye aaKHiri bhi hai
bhula diya laga jis ko use bhulaya nahin
bahut 'aziz hai wo gham wo gham abhi bhi hai
tumhaara shor sunai nahin diya karta
magar hamari ye KHamoshi chiKHti bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.