bahut baDa nahin ghar khiDkiyan kushada nahin
bahut baḌā nahīñ ghar khiḌkiyāñ kushāda nahīñ
hamārā phir bhī safar kā koī irāda nahīñ
ḳhudā kā shukr ki ab tak to nabz chaltī hai
lahū bahā to hai lekin bahut ziyāda nahīñ
visāl-o-hijr kī rūdād kis jagah likhkhūñ
mirī kitāb kā koī varaq bhī saada nahīñ
bas ek ḳhaak kī chādar hai aur nahīf badan
qabā nahīñ koī turra nahīñ labāda nahīñ
tumheñ chamakne kā haq kis tarah milegā bhalā
tumhārā chāñd sitāroñ kā ḳhānvāda nahīñ
bas ik qalam hai to do-chār lafz chand ḳhayāl
maiñ kāḳh-o-kū nahīñ rakhtā maiñ shāhzāda nahīñ
ye sab zamīn ke bosoñ ke zaḳhm haiñ 'bāqar'
tamām dasht meñ ham sā koī piyāda nahīñ
bahut baDa nahin ghar khiDkiyan kushada nahin
hamara phir bhi safar ka koi irada nahin
KHuda ka shukr ki ab tak to nabz chalti hai
lahu baha to hai lekin bahut ziyaada nahin
visal-o-hijr ki rudad kis jagah likhkhun
meri kitab ka koi waraq bhi sada nahin
bas ek KHak ki chadar hai aur nahif badan
qaba nahin koi turra nahin labaada nahin
tumhein chamakne ka haq kis tarah milega bhala
tumhaara chand sitaron ka KHanwada nahin
bas ek qalam hai to do-chaar lafz chand KHayal
main kaKH-o-ku nahin rakhta main shahzada nahin
ye sab zamin ke boson ke zaKHm hain 'baqar'
tamam dasht mein hum sa koi piyaada nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.