bahut chaha ki kuchh kah den zaban phir bhi nahin kholi
bahut chaha ki kuchh kah den zaban phir bhi nahin kholi
Devesh Dixit Dev
MORE BYDevesh Dixit Dev
bahut chāhā ki kuchh kah deñ zabāñ phir bhī nahīñ kholī
kisī ke sāmne dil kī kabhī 'arzī nahīñ kholī
tumhārī yaad aa.ī to uḌegī niiñd rātoñ kī
isī Dar se zamāna ho gayā khiḌkī nahīñ kholī
hamārī bebasī paḌh kar gile sab duur ho jaate
magar afsos tum ne āḳhirī chiTThī nahīñ kholī
kamānā vyarth hai us kā amīrī vyarth hai us kī
munāsib vaqt par jis ne agar muTThī nahīñ kholī
bharosa uTh gayā jab se yahāñ chāragaroñ se phir
kabhī zaḳhmoñ se ham ne bhuul kar paTTī nahīñ kholī
vahī ab dam jo bhartā hai samundar naap lene kā
kabhī langar se us ne aaj tak kashtī nahīñ kholī
hazāroñ parchiyāñ yādoñ kī haiñ dil kī tijorī meñ
magar kanjūs man ne ek bhī parchī nahīñ kholī
bahut chaha ki kuchh kah den zaban phir bhi nahin kholi
kisi ke samne dil ki kabhi 'arzi nahin kholi
tumhaari yaad aai to uDegi nind raaton ki
isi Dar se zamana ho gaya khiDki nahin kholi
hamari bebasi paDh kar gile sab dur ho jate
magar afsos tum ne aaKHiri chiTThi nahin kholi
kamana wyarth hai us ka amiri wyarth hai us ki
munasib waqt par jis ne agar muTThi nahin kholi
bharosa uTh gaya jab se yahan chaaragaron se phir
kabhi zaKHmon se hum ne bhul kar paTTi nahin kholi
wahi ab dam jo bharta hai samundar nap lene ka
kabhi langar se us ne aaj tak kashti nahin kholi
hazaron parchiyan yaadon ki hain dil ki tijori mein
magar kanjus man ne ek bhi parchi nahin kholi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.