bahut dawe kiye hain aagahi ne
bahut daave kiye haiñ āgahī ne
nahīñ samjhā mohabbat ko kisī ne
jabīñ par ḳhaak ke zarre nahīñ haiñ
sitāre chun diye haiñ bandagī ne
shikāyat hai unheñ bhī zindagī se
jinheñ sab kuchh diyā hai zindagī ne
sabā se pūchhiye kyā gul khilā.e
chaman meñ un kī āhista-ravī ne
ḳhudā ġhārat kare dast-e-sitam ko
abhī to aañkh kholī thī kalī ne
mah o anjum ko zau baḳhshī hai 'mumtāz'
hamāre āñsuoñ kī raushnī ne
bahut dawe kiye hain aagahi ne
nahin samjha mohabbat ko kisi ne
jabin par KHak ke zarre nahin hain
sitare chun diye hain bandagi ne
shikayat hai unhen bhi zindagi se
jinhen sab kuchh diya hai zindagi ne
saba se puchhiye kya gul khilae
chaman mein un ki aahista-rawi ne
KHuda ghaarat kare dast-e-sitam ko
abhi to aankh kholi thi kali ne
mah o anjum ko zau baKHshi hai 'mumtaz'
hamare aansuon ki raushni ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.