bahut dil ko dukhata hai
bahut dil ko dukhātā hai
bahut mujh ko rulātā hai
maiñ har pal haar jaatī huuñ
vo har pal jiit jaatā hai
kabhī sho.ala kabhī shabnam
use har ruup bhātā hai
maiñ jitnā bhūlnā chāhūñ
vo utnā yaad aatā hai
na hoñ puure kabhī shāyad
jo vo sapne dikhātā hai
use sūraj kahe duniyā
jo shab ko Duub jaatā hai
bahut dil ko dukhata hai
bahut mujh ko rulata hai
main har pal haar jati hun
wo har pal jit jata hai
kabhi shoala kabhi shabnam
use har rup bhata hai
main jitna bhulna chahun
wo utna yaad aata hai
na hon pure kabhi shayad
jo wo sapne dikhata hai
use suraj kahe duniya
jo shab ko Dub jata hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 591)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.