bahut dinon se meri un se rasm-o-rah nahin
bahut dinoñ se mirī un se rasm-o-rāh nahīñ
magar ye kaun kahe kis ke dil meñ chaah nahīñ
bas ab farishtoñ ko dars-e-gunāh de iblīs
ki ham bashar haiñ hameñ hasrat-e-gunāh nahīñ
hayāt-e-jāda-e-ġham se bhaTak ga.ī shāyad
ki aañkh meñ nahīñ aañsū laboñ pe aah nahīñ
ḳhayāl un kā hai vaj.h-e-sukūn-e-qalb-o-nazar
ye aur baat ki ab un se rasm-o-rāh nahīñ
gunāh-e-ishq kā maiñ murtakib sahī lekin
izāla jis kā na ho aisā ye gunāh nahīñ
banāo azm-e-safar hī ko rahnumā 'tālib'
na ho balā se agar koī ḳhizr-e-rāh nahīñ
bahut dinon se meri un se rasm-o-rah nahin
magar ye kaun kahe kis ke dil mein chah nahin
bas ab farishton ko dars-e-gunah de iblis
ki hum bashar hain hamein hasrat-e-gunah nahin
hayat-e-jada-e-gham se bhaTak gai shayad
ki aankh mein nahin aansu labon pe aah nahin
KHayal un ka hai wajh-e-sukun-e-qalb-o-nazar
ye aur baat ki ab un se rasm-o-rah nahin
gunah-e-ishq ka main murtakib sahi lekin
izala jis ka na ho aisa ye gunah nahin
banao azm-e-safar hi ko rahnuma 'talib'
na ho bala se agar koi KHizr-e-rah nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.