bahut ghabra rahe ho raushni se
bahut ghabrā rahe ho raushnī se
mohabbat ho ga.ī hai kyā kisī se
patā detī hai ye chehre kī rangat
ḳhudā ḳhush hai to bas ik aap hī se
shanāsā.ī nikal aa.ī purānī
nahīñ to kyoñ lipaTtā ajnabī se
zabāñ se yuuñ adā hotī hai urdu
surīlī taan jaise bāñsurī se
qadam donoñ taraf se baḌh chuke haiñ
mohabbat hogī rusvā vāpsī se
hañsī aa.ī kabhī yalġhār-e-ġham par
chhalak aa.iiñ kabhī āñkheñ ḳhushī se
bahut bā-zarf huuñ lekin pashemāñ
samundar bol uTThā tishnagī se
hifāzat kar na paa.e 'nazr' dil kī
churāyā hī gayā is sādgī se
bahut ghabra rahe ho raushni se
mohabbat ho gai hai kya kisi se
pata deti hai ye chehre ki rangat
KHuda KHush hai to bas ek aap hi se
shanasai nikal aai purani
nahin to kyon lipaTta ajnabi se
zaban se yun ada hoti hai urdu
surili tan jaise bansuri se
qadam donon taraf se baDh chuke hain
mohabbat hogi ruswa wapsi se
hansi aai kabhi yalghaar-e-gham par
chhalak aain kabhi aankhen KHushi se
bahut ba-zarf hun lekin pasheman
samundar bol uTTha tishnagi se
hifazat kar na pae 'nazr' dil ki
churaya hi gaya is sadgi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.