bahut hao-hu rahguzaron mein hai
bahut hāo-hū rahguzāroñ meñ hai
vo tanhā havā ke hisāroñ meñ hai
use qatl karne pe tul jā.eñge
ye saaya mire ġham-gusāroñ meñ hai
laboñ par daraḳhshāñ hurūf-e-hayāt
iqāmat shikasta mazāroñ meñ hai
habīboñ ne bhī chehre dafnā diye
koī baat ā.īna-kāroñ meñ hai
azīzo kahāñ tak ye nauhagarī
zamīñ par nahīñ hai sitāroñ meñ hai
laboñ par jamegā ġhubār-e-sukūt
vahī shor-e-sarsar chanāroñ meñ hai
bahut hao-hu rahguzaron mein hai
wo tanha hawa ke hisaron mein hai
use qatl karne pe tul jaenge
ye saya mere gham-gusaron mein hai
labon par daraKHshan huruf-e-hayat
iqamat shikasta mazaron mein hai
habibon ne bhi chehre dafna diye
koi baat aaina-karon mein hai
azizo kahan tak ye nauhagari
zamin par nahin hai sitaron mein hai
labon par jamega ghubar-e-sukut
wahi shor-e-sarsar chanaron mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.