bahut hain zindagi mein gham suno KHamosh kyon ho tum
bahut hain zindagi mein gham suno KHamosh kyon ho tum
Madhurima Singh
MORE BYMadhurima Singh
bahut haiñ zindagī meñ ġham suno ḳhāmosh kyoñ ho tum
tumhāre rū-ba-rū haiñ ham suno ḳhāmosh kyoñ ho tum
tumhārī ḳhāmushī par bas hamārī jaan jaatī hai
hamārī zindagī hai kam suno ḳhāmosh kyoñ ho tum
kahā thā tum ne āñkhoñ meñ ye duniyā bhuul jāoge
tumheñ kyā ḳhauf hai har dam suno ḳhāmosh kyoñ ho tum
hameñ de do udāsī aañkh meñ kab tak chhupāoge
banā deñge ise shabnam suno ḳhāmosh kyoñ ho tum
sajā kar chāñd kā gajrā ye paglī raat aatī hai
bikhartī saañs kī sargam suno ḳhāmosh kyoñ ho tum
lahrāte gul-mohar par ye utartī sāñjh Thahrī hai
badal jaa.e na ye mausam suno ḳhāmosh kyoñ ho tum
fasāna dil kā kah lo aaj jaane kab mileñ ham tum
charāġhoñ meñ abhī hai dam suno ḳhāmosh kyoñ ho tum
bahut hain zindagi mein gham suno KHamosh kyon ho tum
tumhaare ru-ba-ru hain hum suno KHamosh kyon ho tum
tumhaari KHamushi par bas hamari jaan jati hai
hamari zindagi hai kam suno KHamosh kyon ho tum
kaha tha tum ne aankhon mein ye duniya bhul jaoge
tumhein kya KHauf hai har dam suno KHamosh kyon ho tum
hamein de do udasi aankh mein kab tak chhupaoge
bana denge ise shabnam suno KHamosh kyon ho tum
saja kar chand ka gajra ye pagli raat aati hai
bikharti sans ki sargam suno KHamosh kyon ho tum
lahraate gul-mohar par ye utarti sanjh Thahri hai
badal jae na ye mausam suno KHamosh kyon ho tum
fasana dil ka kah lo aaj jaane kab milen hum tum
charaghon mein abhi hai dam suno KHamosh kyon ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.