bahut hasin baDi pur-bahaar guzri hai
bahut hasīn baḌī pur-bahār guzrī hai
vo zindagī jo sar-e-kū-e-yār guzrī hai
vahī ki jo thī sar-e-bazm ġhair kī jānib
vahī nigāh mire dil ke paar guzrī hai
nayā shagūfa hai khilne ko phir koī shāyad
chaman se bād-e-sabā sogvār guzrī hai
ye aur baat hai vo sah gayā use varna
dil-e-hazīñ pe ḳharābī hazār guzrī hai
na raaz pā sakī phir bhī ġham-e-mohabbat kā
rah-e-junūñ se ḳhirad baar baar guzrī hai
usī meñ un kī ḳhushī kā thā raaz poshīda
jo baat mujh ko bahut nāgavār guzrī hai
kuchh aisā rang jamāyā ḳhizāñ ne gulshan meñ
ki Dartī kāñptī fasl-e-bahār guzrī hai
samajh sakegā vahī mere ġham ko ai 'sāhir'
ki jis kī zindagī be-iḳhtiyār guzrī hai
bahut hasin baDi pur-bahaar guzri hai
wo zindagi jo sar-e-ku-e-yar guzri hai
wahi ki jo thi sar-e-bazm ghair ki jaanib
wahi nigah mere dil ke par guzri hai
naya shagufa hai khilne ko phir koi shayad
chaman se baad-e-saba sogwar guzri hai
ye aur baat hai wo sah gaya use warna
dil-e-hazin pe KHarabi hazar guzri hai
na raaz pa saki phir bhi gham-e-mohabbat ka
rah-e-junun se KHirad bar bar guzri hai
usi mein un ki KHushi ka tha raaz poshida
jo baat mujh ko bahut nagawar guzri hai
kuchh aisa rang jamaya KHizan ne gulshan mein
ki Darti kanpti fasl-e-bahaar guzri hai
samajh sakega wahi mere gham ko ai 'sahir'
ki jis ki zindagi be-iKHtiyar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.