Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut hasin the hiran dhyan baT gaya aaKHir

Irfan Siddiqi

bahut hasin the hiran dhyan baT gaya aaKHir

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    bahut hasīñ the hiran dhyān baT gayā āḳhir

    vahī huā ki mirā tiir uchaT gayā āḳhir

    milī na jab koī rāh-e-mafar to kyā kartā

    maiñ ek sab ke muqābil meñ DaT gayā āḳhir

    bas ik umiid pe ham ne guzār ik 'umr

    bas ek buuñd se kohsār kaT gayā āḳhir

    bachā rahā thā maiñ shah-zor dushmanoñ se use

    magar vo shaḳhs mujhī se lipaT gayā āḳhir

    vo uḌte uḌte kahīñ duur ufuq meñ duub gayā

    to āsmān paroñ meñ simaT gayā āḳhir

    khulā ki vo bhī kuchh aisā vafā-parast na thā

    chalo ye bojh bhī siine se haT gayā āḳhir

    hamāre daaġh chhupātīñ rivāyateñ kab tak

    libās bhī to purānā thā phaT gayā āḳhir

    baḌhā ke rabt-e-vafā ajnabī parindoñ se

    vo hans apne vatan ko palaT gayā āḳhir

    bahut hasin the hiran dhyan baT gaya aaKHir

    wahi hua ki mera tir uchaT gaya aaKHir

    mili na jab koi rah-e-mafar to kya karta

    main ek sab ke muqabil mein DaT gaya aaKHir

    bas ek umid pe hum ne guzar di ek 'umr

    bas ek bund se kohsar kaT gaya aaKHir

    bacha raha tha main shah-zor dushmanon se use

    magar wo shaKHs mujhi se lipaT gaya aaKHir

    wo uDte uDte kahin dur ufuq mein dub gaya

    to aasman paron mein simaT gaya aaKHir

    khula ki wo bhi kuchh aisa wafa-parast na tha

    chalo ye bojh bhi sine se haT gaya aaKHir

    hamare dagh chhupatin riwayaten kab tak

    libas bhi to purana tha phaT gaya aaKHir

    baDha ke rabt-e-wafa ajnabi parindon se

    wo hans apne watan ko palaT gaya aaKHir

    Source :
    • Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 23)
    • Author :Irfan Siddiqi
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : 2nd
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now