bahut hasin the tum aur bahut jawan the hum
bahut hasīn the tum aur bahut javāñ the ham
ik iztirāb-e-musalsal kī dāstāñ the ham
ab is jagah pe haiñ kuchh aur chāhne vaale
vo ek baaġh kā gosha ki kal jahāñ the ham
hamārī āñkhoñ se zulmat kā dil laraztā thā
tulūa-e-mahr-e-munavvar ke rāz-dāñ the ham
hamāre hāthoñ se ab tak mahak sī aatī hai
ye kal kī baat hai phūloñ ke darmiyāñ the ham
machaltī rahtī thī dil meñ uḌaan kī ḳhvāhish
ḳhud apne sar pe ḳhayāloñ kā āsmāñ the ham
bikhar ga.e to bhaTakte hue musāfir haiñ
vo jin rutoñ meñ chale the to kārvāñ the ham
bahut hasin the tum aur bahut jawan the hum
ek iztirab-e-musalsal ki dastan the hum
ab is jagah pe hain kuchh aur chahne wale
wo ek bagh ka gosha ki kal jahan the hum
hamari aankhon se zulmat ka dil larazta tha
tulua-e-mahr-e-munawwar ke raaz-dan the hum
hamare hathon se ab tak mahak si aati hai
ye kal ki baat hai phulon ke darmiyan the hum
machalti rahti thi dil mein uDan ki KHwahish
KHud apne sar pe KHayalon ka aasman the hum
bikhar gae to bhaTakte hue musafir hain
wo jin ruton mein chale the to karwan the hum
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 67)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.