bahut hasin yahan ki faza lage hai mujhe
bahut hasīn yahāñ kī fazā lage hai mujhe
dayār-e-yār to jannat-numā lage hai mujhe
har ek rang meñ jalva-numā lage hai mujhe
jamāl-e-dost jamāl-e-ḳhudā lage hai mujhe
kisī kī zulf kā jis din se paḌ gayā saaya
tamām jism mahaktā huā lage hai mujhe
maiñ jab bhī tere tasavvur meñ Duub jaatā huuñ
mirā vajūd tirā aa.ina lage hai mujhe
sar-e-niyāz jhukā.ūñ kahāñ kahāñ āḳhir
har ek naqsh tirā naqsh-e-pā lage hai mujhe
tire ḳhayāl ke dāman ko thaam letā huuñ
mirā safīna jahāñ Dūbtā lage hai mujhe
mire habīb ke kūche kī ḳhaak kā 'nayyar'
har ek zarra dur-e-be-bahā lage hai mujhe
bahut hasin yahan ki faza lage hai mujhe
dayar-e-yar to jannat-numa lage hai mujhe
har ek rang mein jalwa-numa lage hai mujhe
jamal-e-dost jamal-e-KHuda lage hai mujhe
kisi ki zulf ka jis din se paD gaya saya
tamam jism mahakta hua lage hai mujhe
main jab bhi tere tasawwur mein Dub jata hun
mera wajud tera aaina lage hai mujhe
sar-e-niyaz jhukaun kahan kahan aaKHir
har ek naqsh tera naqsh-e-pa lage hai mujhe
tere KHayal ke daman ko tham leta hun
mera safina jahan Dubta lage hai mujhe
mere habib ke kuche ki KHak ka 'nayyar'
har ek zarra dur-e-be-baha lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.