bahut hi bhale hain wafaon ke mausam
bahut hī bhale haiñ vafāoñ ke mausam
baḌe pur-asar haiñ duāoñ ke mausam
mohabbat kā qissa purānā huā hai
ab aane lage haiñ jafāoñ ke mausam
bhañvar meñ phañsā hai safīna hamārā
Dubo ke na rakh deñ gunāhoñ ke mausam
hai ḳhushbū sī phailī huī chāroñ jānib
baḌe dil-nashīñ haiñ adāoñ ke mausam
maiñ likhtā rahūñgā yūñhī sach hamesha
agarche haiñ aate sazāoñ ke mausam
kasak sī hai hone lagī dil meñ 'sāġhar'
ki aane lage haiñ ḳhizāoñ ke mausam
bahut hi bhale hain wafaon ke mausam
baDe pur-asar hain duaon ke mausam
mohabbat ka qissa purana hua hai
ab aane lage hain jafaon ke mausam
bhanwar mein phansa hai safina hamara
Dubo ke na rakh den gunahon ke mausam
hai KHushbu si phaili hui chaaron jaanib
baDe dil-nashin hain adaon ke mausam
main likhta rahunga yunhi sach hamesha
agarche hain aate sazaon ke mausam
kasak si hai hone lagi dil mein 'saghar'
ki aane lage hain KHizaon ke mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.