bahut hi dil-nashin aawaz-e-pa thi
bahut hī dil-nashīñ āvāz-e-pā thī
na jaane tum the yā bād-e-sabā thī
bajā kartī thiiñ kyā shahnā.iyāñ sī
ḳhamoshī bhī hamārī jab navā thī
vo dushman hī sahī yaaro hamārā
par us kī jo adā thī kyā adā thī
sabhī aks apnā apnā dekhte the
hamārī zindagī vo ā.īna thī
chalā jaatā thā hañstā kheltā maiñ
nigāh-e-yār merī rahnumā thī
chalo TuuTī to zanjīr-e-mohabbat
musībat thī qayāmat thī balā thī
na ham badle na tum badle ho lekin
nahīñ jo darmiyāñ vo chiiz kyā thī
mohabbat par udāsī chhā rahī hai
hai kyā anjām aur kyā ibtidā thī
shagūfe phūTte the dil se 'naushād'
ye vaadī pahle kitnī pur-fazā thī
bahut hi dil-nashin aawaz-e-pa thi
na jaane tum the ya baad-e-saba thi
baja karti thin kya shahnaiyan si
KHamoshi bhi hamari jab nawa thi
wo dushman hi sahi yaro hamara
par us ki jo ada thi kya ada thi
sabhi aks apna apna dekhte the
hamari zindagi wo aaina thi
chala jata tha hansta khelta main
nigah-e-yar meri rahnuma thi
chalo TuTi to zanjir-e-mohabbat
musibat thi qayamat thi bala thi
na hum badle na tum badle ho lekin
nahin jo darmiyan wo chiz kya thi
mohabbat par udasi chha rahi hai
hai kya anjam aur kya ibtida thi
shagufe phuTte the dil se 'naushad'
ye wadi pahle kitni pur-faza thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.