bahut hi pahle kabhi humne yahan KHeme lagae the
bahut hi pahle kabhi humne yahan KHeme lagae the
Rukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
MORE BYRukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
bahut hī pahle kabhī ham ne yahāñ ḳheme lagā.e the
isī miTTī se phir mānūs se rishte banā.e the
bahut chhoTī thī duniyā qurb ke lamhe mayassar the
mohabbat ne shanāsā se ka.ī chehre ugaa.e the
tanāboñ ko nigal kar uTh ga.e dīvār-o-dar kitne
diloñ ne kyā batā.eñ kis tarah fitne jagā.e the
imārat kī bulandī saath meñ gahrī thī buniyādeñ
unhīñ gahrā.iyoñ ne zaḳhm bhī gahre lagā.e the
hujūm-e-shahr meñ kho kar na jaane kis tarah ham ne
tumhāre vāste do-chār hī lamhe churā.e the
bahut uljhe hue the shāh-rāhoñ aur galiyoñ meñ
makāñ tak aa ke ham bhūle vahī kahne jo aa.e the
ye kaisī ajnabiyyat dī hameñ masrūf vaqtoñ ne
ki bachpan kī shanāsā.ī pe bhī pahre biThā.e the
na jaane kis tarah har chaal ulTī ho ga.ī 'hānī'
baḌī tartīb se ham ne bhī ye mohre sajā.e the
bahut hi pahle kabhi hum ne yahan KHeme lagae the
isi miTTi se phir manus se rishte banae the
bahut chhoTi thi duniya qurb ke lamhe mayassar the
mohabbat ne shanasa se kai chehre ugae the
tanabon ko nigal kar uTh gae diwar-o-dar kitne
dilon ne kya bataen kis tarah fitne jagae the
imarat ki bulandi sath mein gahri thi buniyaaden
unhin gahraiyon ne zaKHm bhi gahre lagae the
hujum-e-shahr mein kho kar na jaane kis tarah hum ne
tumhaare waste do-chaar hi lamhe churae the
bahut uljhe hue the shah-rahon aur galiyon mein
makan tak aa ke hum bhule wahi kahne jo aae the
ye kaisi ajnabiyyat di hamein masruf waqton ne
ki bachpan ki shanasai pe bhi pahre biThae the
na jaane kis tarah har chaal ulTi ho gai 'hani'
baDi tartib se hum ne bhi ye mohre sajae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.