Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut kaThin tha magar faisla zaruri tha

Dr. Yasin Aatir

bahut kaThin tha magar faisla zaruri tha

Dr. Yasin Aatir

MORE BYDr. Yasin Aatir

    bahut kaThin thā magar faisla zarūrī thā

    so tai huā ki use chhoḌnā zarūrī thā

    adāvatoñ meñ bhī iblāġh zarūrat hai

    ki guftugū ke liye rābta zarūrī thā

    bilā-javāz kise hijrateñ pasand magar

    mohabbatoñ ke liye fāsla zarūrī thā

    patā chalā ki vahī log haiñ ḳhasāre meñ

    jinheñ yaqīñ ke liye mo.ajiza zarūrī thā

    shikast khā ga.e jo jism the qavī haikal

    muzāhimat ke liye hausla zarūrī thā

    isī sabab se thā badnām shahr meñ 'ātir'

    ki chup rahā na jahāñ bolnā zarūrī thā

    bahut kaThin tha magar faisla zaruri tha

    so tai hua ki use chhoDna zaruri tha

    adawaton mein bhi iblagh ki zarurat hai

    ki guftugu ke liye rabta zaruri tha

    bila-jawaz kise hijraten pasand magar

    mohabbaton ke liye fasla zaruri tha

    pata chala ki wahi log hain KHasare mein

    jinhen yaqin ke liye moajiza zaruri tha

    shikast kha gae jo jism the qawi haikal

    muzahimat ke liye hausla zaruri tha

    isi sabab se tha badnam shahr mein 'atir'

    ki chup raha na jahan bolna zaruri tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now