bahut KHarab samajhta tha main raqibon ko
bahut KHarab samajhta tha main raqibon ko
Mushtaq Ahmad Mushtaq
MORE BYMushtaq Ahmad Mushtaq
bahut ḳharāb samajhtā thā maiñ raqīboñ ko
badal dī raa.e jo dekhā mire habīboñ ko
ye māhtāb ye taare tum apne paas rakho
lahū kī raushnī kaafī hai shab-nasīboñ ko
abhī añdheroñ se kis taur raushnī phūTe
sitāra-sāz abhī rote haiñ nasīboñ ko
bas ek nāra-e-tahsīn hai fazāoñ meñ
ye kaisā rog lagā vaqt ke naqīboñ ko
junūñ kī rasm hī nāpaid ho ga.ī yā phir
hamāre sar kī zarūrat nahīñ salīboñ ko
zamīñ pe raushnī-bardār haiñ yahī kuchh log
tū kyā samajhtā hai 'mushtāq' ham adīboñ ko
bahut KHarab samajhta tha main raqibon ko
badal di rae jo dekha mere habibon ko
ye mahtab ye tare tum apne pas rakho
lahu ki raushni kafi hai shab-nasibon ko
abhi andheron se kis taur raushni phuTe
sitara-saz abhi rote hain nasibon ko
bas ek nara-e-tahsin hai fazaon mein
ye kaisa rog laga waqt ke naqibon ko
junun ki rasm hi napaid ho gai ya phir
hamare sar ki zarurat nahin salibon ko
zamin pe raushni-bardar hain yahi kuchh log
tu kya samajhta hai 'mushtaq' hum adibon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.