bahut KHush ho mujhe barbaad kar ke
bahut ḳhush ho mujhe barbād kar ke
kabhī dekho kisī ko shaad kar ke
unheñ mā'lūm kyā ḳhalvat meñ koī
bahut royā hai un ko yaad kar ke
pareshāñ karnā hai bas un kā maqsad
na.e qānūn ko ījād kar ke
sukūñ hāsil bahut hogā yaqīnan
kisī majbūr kī imdād kar ke
sila degā ḳhudā tere 'amal kā
tujhe bhī sāhib-e-aulād kar ke
vaqār apnā kiyā pāmāl ham ne
har ik darbār meñ fariyād kar ke
ġhazal ho terī 'faisal' nā-mukammal
na deñ islāh jo ustād kar ke
bahut KHush ho mujhe barbaad kar ke
kabhi dekho kisi ko shad kar ke
unhen ma'lum kya KHalwat mein koi
bahut roya hai un ko yaad kar ke
pareshan karna hai bas un ka maqsad
nae qanun ko ijad kar ke
sukun hasil bahut hoga yaqinan
kisi majbur ki imdad kar ke
sila dega KHuda tere 'amal ka
tujhe bhi sahib-e-aulad kar ke
waqar apna kiya pamal hum ne
har ek darbar mein fariyaad kar ke
ghazal ho teri 'faisal' na-mukammal
na den islah jo ustad kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.