bahut KHushi bhi agar ho KHushi nahin hoti
bahut ḳhushī bhī agar ho ḳhushī nahīñ hotī
tumhāre baa'd yahāñ zindagī nahīñ hotī
agar ye raah ke patthar hameñ bhī raas aate
hamāre chehre pe sanjīdgī nahīñ hotī
maiñ ghuT ke mar gayā hotā tirī judā.ī meñ
agar ye yaad kī khiḌkī khulī nahīñ hotī
vo maane yā nahīñ maane ye us kī marzī hai
use batāo ki ab ḳhud-kushī nahīñ hotī
ziyāda der mulāqāt ho bhī saktī thī
tumhāre paas agar ye ghaḌī nahīñ hotī
'ajīb laḌkī hai 'ātif' vafā pe āmāda
kabhī vo hotī hai lekin kabhī nahīñ hotī
bahut KHushi bhi agar ho KHushi nahin hoti
tumhaare ba'd yahan zindagi nahin hoti
agar ye rah ke patthar hamein bhi ras aate
hamare chehre pe sanjidgi nahin hoti
main ghuT ke mar gaya hota teri judai mein
agar ye yaad ki khiDki khuli nahin hoti
wo mane ya nahin mane ye us ki marzi hai
use batao ki ab KHud-kushi nahin hoti
ziyaada der mulaqat ho bhi sakti thi
tumhaare pas agar ye ghaDi nahin hoti
'ajib laDki hai 'atif' wafa pe aamada
kabhi wo hoti hai lekin kabhi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.