bahut kuchh jaan ke jaana hai tumko
bahut kuchh jaan ke jaanā hai tum ko
baḌī mushkil se pahchānā hai tum ko
mujhe jo tum samajhte ho ġhalat hai
kisī din ye bhī samjhānā hai tum ko
maiñ apne ḳhauf kī had par khaḌā huuñ
ab is ke baa'd ghabrānā hai tum ko
ḳhudā ḳhud ko samajhte ho to samjho
magar ik roz mar jaanā hai tum ko
chale jaao magar ghar mat girāo
isī chaukhaT pe phir aanā hai tum ko
ye jangal hai yahāñ ghar haiñ na gamle
yahīñ pe khul ke murjhānā hai tum ko
zarā sā dekhnā hai aa.ine meñ
phir is ke baa'd sharmānā hai tum ko
bahut kuchh jaan ke jaana hai tum ko
baDi mushkil se pahchana hai tum ko
mujhe jo tum samajhte ho ghalat hai
kisi din ye bhi samjhana hai tum ko
main apne KHauf ki had par khaDa hun
ab is ke ba'd ghabrana hai tum ko
KHuda KHud ko samajhte ho to samjho
magar ek roz mar jaana hai tum ko
chale jao magar ghar mat girao
isi chaukhaT pe phir aana hai tum ko
ye jangal hai yahan ghar hain na gamle
yahin pe khul ke murjhana hai tum ko
zara sa dekhna hai aaine mein
phir is ke ba'd sharmana hai tum ko
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 55)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.