bahut kya KHud se wahshat hai nahin to
bahut kyā ḳhud se vahshat hai nahīñ to
kyā har ik saañs zahmat hai nahīñ to
use jo dekh ke khil sā gayā hai
kyā phir jiine kī hasrat hai nahīñ to
akele-pan ke jangal ke o baasī
tū chāhtā kyā rifāqat hai nahīñ to
parāganda tire afkār saare
kyā in meñ koī nudrat hai nahīñ to
ye jazbe ye tire be-qābū jazbe
kyā in meñ koī shiddat hai nahīñ to
ye jo barbādī-e-dil sab huī hai
tujhe koī nadāmat hai nahīñ to
tire sar meñ uThī hai jo ye shorish
suḳhan is kī alāmat hai nahīñ to
bahut khul ke jo tū yuuñ jī rahā hai
tujhe marne kī ujlat hai nahīñ to
ḳhudī ko DhūñDhtā hai kyoñ tū ḳhud meñ
tujhe apnī zarūrat hai nahīñ to
tū ḳhud meñ Dūbtā kyoñ jā rahā hai
tujhe ḳhud se mohabbat hai nahīñ to
tirī sāñsoñ meñ kyoñ ye abtarī hai
kyā jiinā bhī mashaqqat hai nahīñ to
bahut kya KHud se wahshat hai nahin to
kya har ek sans zahmat hai nahin to
use jo dekh ke khil sa gaya hai
kya phir jine ki hasrat hai nahin to
akele-pan ke jangal ke o basi
tu chahta kya rifaqat hai nahin to
paraganda tere afkar sare
kya in mein koi nudrat hai nahin to
ye jazbe ye tere be-qabu jazbe
kya in mein koi shiddat hai nahin to
ye jo barbaadi-e-dil sab hui hai
tujhe koi nadamat hai nahin to
tere sar mein uThi hai jo ye shorish
suKHan is ki alamat hai nahin to
bahut khul ke jo tu yun ji raha hai
tujhe marne ki ujlat hai nahin to
KHudi ko DhunDhta hai kyon tu KHud mein
tujhe apni zarurat hai nahin to
tu KHud mein Dubta kyon ja raha hai
tujhe KHud se mohabbat hai nahin to
teri sanson mein kyon ye abtari hai
kya jina bhi mashaqqat hai nahin to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.