bahut maKHmur hota ja raha hun
bahut maḳhmūr hotā jā rahā huuñ
maiñ ab bharpūr hotā jā rahā huuñ
maiñ chaknā-chūr ho paayā na ab tak
maiñ chaknā-chūr hotā jā rahā huuñ
kahā ik zaḳhm ne ye muskurā kar
maiñ ab nāsūr hotā jā rahā huuñ
uThā do aaj phir mahfil se apnī
bahut maġhrūr hotā jā rahā huuñ
qarīb aayā huuñ itnā 'arz karne
maiñ tum se duur hotā jā rahā huuñ
mirī miTTī ko shikva hai ye mujh se
sarāpā nuur hotā jā rahā huuñ
mire ḳhvāboñ pe ghoḌe dauḌte haiñ
shab-e-'āshūr hotā jā rahā huuñ
bahut maKHmur hota ja raha hun
main ab bharpur hota ja raha hun
main chakna-chur ho paya na ab tak
main chakna-chur hota ja raha hun
kaha ek zaKHm ne ye muskura kar
main ab nasur hota ja raha hun
uTha do aaj phir mahfil se apni
bahut maghrur hota ja raha hun
qarib aaya hun itna 'arz karne
main tum se dur hota ja raha hun
meri miTTi ko shikwa hai ye mujh se
sarapa nur hota ja raha hun
mere KHwabon pe ghoDe dauDte hain
shab-e-'ashur hota ja raha hun
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 57)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.