bahut mushkil ki KHwahish ko kabhi aasan nahin dekha
bahut mushkil kī ḳhvāhish ko kabhī āsāñ nahīñ dekhā
nayā insāñ banāne meñ koī insāñ nahīñ dekhā
vahāñ barsāt dekhī hai jahāñ imkāñ nahīñ dekhā
abhī tak is pur-ummīdī ne registāñ nahīñ dekhā
gumāñ guzre ta'alluq par ki jab tark-e-ta'alluq par
mujhe ronā nahīñ aayā use hairāñ nahīñ dekhā
agarche dekhte rahte haiñ par dekhā nahīñ jaatā
ka.ī vīrāniyāñ dekhī haiñ ghar vīrāñ nahīñ dekhā
nigāheñ saarī un pe haiñ ta'ajjub saarā ham pe hai
to kyā sach meñ nahīñ dekhā are haañ haañ nahīñ dekhā
nazar tum ne gañvā dī hai magar āñkheñ to baaqī haiñ
bahut mumkin hai tum ne bhī ruḳh-e-jānāñ nahīñ dekhā
bahut mushkil ki KHwahish ko kabhi aasan nahin dekha
naya insan banane mein koi insan nahin dekha
wahan barsat dekhi hai jahan imkan nahin dekha
abhi tak is pur-ummidi ne registan nahin dekha
guman guzre ta'alluq par ki jab tark-e-ta'alluq par
mujhe rona nahin aaya use hairan nahin dekha
agarche dekhte rahte hain par dekha nahin jata
kai viraniyan dekhi hain ghar viran nahin dekha
nigahen sari un pe hain ta'ajjub sara hum pe hai
to kya sach mein nahin dekha are han han nahin dekha
nazar tum ne ganwa di hai magar aankhen to baqi hain
bahut mumkin hai tum ne bhi ruKH-e-jaanan nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.