bahut qarib hai dil ke magar nahin milti
bahut qarīb hai dil ke magar nahīñ miltī
hameñ pasand hai jo shai idhar nahīñ miltī
chaman meñ phuul meñ gulshan meñ har nazāre meñ
talāsh us ko maiñ kartā huuñ par nahīñ miltī
vo dekho aaya hai qāsid bhī baad muddat ke
ḳhabar ye laayā ki koī ḳhabar nahīñ miltī
na jaane kitnī hī rāheñ talāsh kar baiThe
tumhāre ishq kī koī Dagar nahīñ miltī
farebī-rāh pe chal kar na DhūñD manzil ko
jo mil bhī jaa.e agar mo'atabar nahīñ miltī
ġham-e-firāq kī ġhurbat se be-ḳhabar rahte
hameñ ye ishq kī daulat agar nahīñ miltī
maiñ sochtā huuñ ġhanīmat thī zindagī apnī
ai kaash un se hamārī nazar nahīñ miltī
añdherī raat ko us kī tū be-sabab nā samajh
sahar ke baad ziyā-e-qamar nahīñ miltī
bahut qarib hai dil ke magar nahin milti
hamein pasand hai jo shai idhar nahin milti
chaman mein phul mein gulshan mein har nazare mein
talash us ko main karta hun par nahin milti
wo dekho aaya hai qasid bhi baad muddat ke
KHabar ye laya ki koi KHabar nahin milti
na jaane kitni hi rahen talash kar baiThe
tumhaare ishq ki koi Dagar nahin milti
farebi-rah pe chal kar na DhunD manzil ko
jo mil bhi jae agar mo'atabar nahin milti
gham-e-firaq ki ghurbat se be-KHabar rahte
hamein ye ishq ki daulat agar nahin milti
main sochta hun ghanimat thi zindagi apni
ai kash un se hamari nazar nahin milti
andheri raat ko us ki tu be-sabab na samajh
sahar ke baad ziya-e-qamar nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.