bahut qimti hain ye pairon ke chhaale
bahut qīmtī haiñ ye pairoñ ke chhāle
añdheroñ meñ haiñ ye sarāpā ujāle
chamakne kī ḳhātir hai betāb har shai
koī raushnī in añdheroñ pe Daale
tabī.at se qātil haiñ par lag rahe haiñ
bahut sīdhe-sāde baḌe bhole-bhāle
jafā karne vaale jafā kar rahe haiñ
vafā kar rahe haiñ vafā karne vaale
in āñkhoñ ke dīpak bujhe jā rahe haiñ
ḳhudā ke liye ruḳh se pardā uThā le
parī-ruḳh haiñ har-sū tirī anjuman meñ
kahāñ tak koī apne dil ko sañbhāle
jinheñ sun ke gulshan meñ hai shādmānī
ye naġhme haiñ 'amrit' ke bulbul ke naale
bahut qimti hain ye pairon ke chhaale
andheron mein hain ye sarapa ujale
chamakne ki KHatir hai betab har shai
koi raushni in andheron pe Dale
tabiat se qatil hain par lag rahe hain
bahut sidhe-sade baDe bhole-bhaale
jafa karne wale jafa kar rahe hain
wafa kar rahe hain wafa karne wale
in aankhon ke dipak bujhe ja rahe hain
KHuda ke liye ruKH se parda uTha le
pari-ruKH hain har-su teri anjuman mein
kahan tak koi apne dil ko sanbhaale
jinhen sun ke gulshan mein hai shadmani
ye naghme hain 'amrit' ke bulbul ke nale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.