bahut rone se dil ka bojh halka ho gaya aaKHir
Interesting Fact
A ghazal dedicated to Mughanni Tabassum
bahut rone se dil kā bojh halkā ho gayā āḳhir
jo yādoñ ke jharokoñ ko bhī shāyad dho gayā āḳhir
na mātam hai na sannāTā ajab sargoshiyāñ sī haiñ
mirī chaukhaT pe sar rakh kar vo laḌkā so gayā āḳhir
maiñ ḳhud ashkoñ ke dariyāoñ kī pahnā.ī kā hāsil thā
magar vo ek qatra bār-e-hastī dho gayā āḳhir
mujhe bhīgī huī āñkhoñ meñ rahne kā salīqa hai
maiñ giile kāġhazoñ meñ lafz saare bo gayā āḳhir
vo rasta jo tirī turbat se ho kar mujh talak aayā
vo rasta vaqt kī pahnā.iyoñ meñ kho gayā āḳhir
'matīn' iqbāl āñkheñ poñchh lo takiya chhupā rakkho
vo dekho apne āñgan meñ saverā ho gayā āḳhir
bahut rone se dil ka bojh halka ho gaya aaKHir
jo yaadon ke jharokon ko bhi shayad dho gaya aaKHir
na matam hai na sannaTa ajab sargoshiyan si hain
meri chaukhaT pe sar rakh kar wo laDka so gaya aaKHir
main KHud ashkon ke dariyaon ki pahnai ka hasil tha
magar wo ek qatra bar-e-hasti dho gaya aaKHir
mujhe bhigi hui aankhon mein rahne ka saliqa hai
main gile kaghazon mein lafz sare bo gaya aaKHir
wo rasta jo teri turbat se ho kar mujh talak aaya
wo rasta waqt ki pahnaiyon mein kho gaya aaKHir
'matin' iqbaal aankhen ponchh lo takiya chhupa rakkho
wo dekho apne aangan mein sawera ho gaya aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.