bahut ruswa mazaq-e-kohkan hai
bahut rusvā mazāq-e-kohkan hai
yahāñ har bul-havas ab tesha-zan hai
har ik siine har ik dil meñ jalan hai
pareshāñ anjuman kī anjuman hai
jinheñ maiñ chhoḌ kar aage baḌhā huuñ
unhīñ rāhoñ pe duniyā gāmzan hai
nigār-e-vaqt kī zulfeñ haiñ barham
mah-o-anjum ke māthe par shikan hai
sab ahl-e-kārvāñ pahchānte haiñ
amīr-e-kārvāñ ḳhud rāhzan hai
ḳhayāl-e-yār añgḌā.ī na lenā
abhī ġhāfil mirā dīvāna-pan hai
fazā-e-ḳhuld bhī dilkash hai lekin
tumhārī anjuman phir anjuman hai
junūñ kā saath vo kyā de sakegā
jise andesha-e-dār-o-rasan hai
nigāh-e-talḳh se kyoñ dekhte ho
tumhārā 'shāhid'-e-shīrīñ-suḳhan hai
bahut ruswa mazaq-e-kohkan hai
yahan har bul-hawas ab tesha-zan hai
har ek sine har ek dil mein jalan hai
pareshan anjuman ki anjuman hai
jinhen main chhoD kar aage baDha hun
unhin rahon pe duniya gamzan hai
nigar-e-waqt ki zulfen hain barham
mah-o-anjum ke mathe par shikan hai
sab ahl-e-karwan pahchante hain
amir-e-karwan KHud rahzan hai
KHayal-e-yar angDai na lena
abhi ghafil mera diwana-pan hai
faza-e-KHuld bhi dilkash hai lekin
tumhaari anjuman phir anjuman hai
junun ka sath wo kya de sakega
jise andesha-e-dar-o-rasan hai
nigah-e-talKH se kyon dekhte ho
tumhaara 'shahid'-e-shirin-suKHan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.