bahut sari daulat baDa baam-o-dar hai
bahut saarī daulat baḌā bām-o-dar hai
magar dil meñ chain-o-sukūñ muḳhtasar hai
jise chāhtā huuñ vahī be-ḳhabar hai
banāyā ḳhudā ne vo kaisā bashar hai
gharauñde se uḌ kar ga.ī jab se chiḌiyā
musalsal udāsī meñ Duubā shajar hai
maiñ piitā huuñ sālim nigāhoñ ke pyāle
mujhe ab na saaqī na sāġhar kā Dar hai
havas meñ yuuñ jannat kī martā mujāhid
vagarna ye dhartī ḳhudā kā hī ghar hai
bahut sari daulat baDa baam-o-dar hai
magar dil mein chain-o-sukun muKHtasar hai
jise chahta hun wahi be-KHabar hai
banaya KHuda ne wo kaisa bashar hai
gharaunde se uD kar gai jab se chiDiya
musalsal udasi mein Duba shajar hai
main pita hun salim nigahon ke pyale
mujhe ab na saqi na saghar ka Dar hai
hawas mein yun jannat ki marta mujahid
wagarna ye dharti KHuda ka hi ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.