bahut se log hain mujhse KHasara puchhne wale
bahut se log haiñ mujh se ḳhasāra pūchhne vaale
tumhārā naam na le kar tumhārā pūchhne vaale
tire tark-e-ta.alluq ne bahut se log chhīne haiñ
tirī nisbat se aate the hamārā pūchhne vaale
batāo kyā kahūñ un ko sabab kyā hai judā.ī kā
mire dar par khaḌe haiñ vo dobāra pūchhne vaale
tire hone se dīvāreñ bhī mujh ko thaam rakhtī thiiñ
girāne ko khaḌe haiñ ab sahārā pūchhne vaale
ye khiḌkī ab nahīñ khultī makīñ jaane kahāñ gum haiñ
qamar ko chāhne vaale sitāra pūchhne vaale
batānā ye bhī thā un ko bhañvar hai us kināre par
sunā hai mar ga.e saare kināra pūchhne vaale
balā kā zabt hai mujh meñ magar kitnā karūñ āḳhir
kahīñ se lauT aa.eñ vo ḳhudārā pūchhne vaale
bahut se log hain mujh se KHasara puchhne wale
tumhaara nam na le kar tumhaara puchhne wale
tere tark-e-talluq ne bahut se log chhine hain
teri nisbat se aate the hamara puchhne wale
batao kya kahun un ko sabab kya hai judai ka
mere dar par khaDe hain wo dobara puchhne wale
tere hone se diwaren bhi mujh ko tham rakhti thin
girane ko khaDe hain ab sahaara puchhne wale
ye khiDki ab nahin khulti makin jaane kahan gum hain
qamar ko chahne wale sitara puchhne wale
batana ye bhi tha un ko bhanwar hai us kinare par
suna hai mar gae sare kinara puchhne wale
bala ka zabt hai mujh mein magar kitna karun aaKHir
kahin se lauT aaen wo KHudara puchhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.