bahut se zaKHm jinko mustaqil mehman rakkha hai
bahut se zaḳhm jin ko mustaqil mehmān rakkhā hai
badan kī qaid meñ kuchh dard kā sāmān rakkhā hai
kabhī lagtā hai ki maiñ āsmāñ ko chhū ke aa.ī huuñ
kabhī lagtā hai raste meñ koī tūfān rakhā hai
har ik lamha gumāñ kī dastaras meñ kyā batā.eñ ham
kahāñ ummīd rakkhī hai kahāñ īmān rakkhā hai
tumhārī aañkh meñ Thahrā huā paanī batātā hai
mohabbat kī thī tum ne aur us kā maan rakkhā hai
mire aabā ke ghar ko bech kar mujh se vo kahtā hai
vahīñ kamra paḌā hai aur vahīñ dālān rakkhā hai
hamārī himmatoñ kī daad de kar lauT jā.egā
hamāre sāmne jis ġham ne siina taan rakkhā hai
bahut se zaKHm jin ko mustaqil mehman rakkha hai
badan ki qaid mein kuchh dard ka saman rakkha hai
kabhi lagta hai ki main aasman ko chhu ke aai hun
kabhi lagta hai raste mein koi tufan rakha hai
har ek lamha guman ki dastaras mein kya bataen hum
kahan ummid rakkhi hai kahan iman rakkha hai
tumhaari aankh mein Thahra hua pani batata hai
mohabbat ki thi tum ne aur us ka man rakkha hai
mere aaba ke ghar ko bech kar mujh se wo kahta hai
wahin kamra paDa hai aur wahin dalan rakkha hai
hamari himmaton ki dad de kar lauT jaega
hamare samne jis gham ne sina tan rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.