bahut shadab ho lekin bayabani nahin jati
bahut shādāb ho lekin bayābānī nahīñ jaatī
ki bām-e-auj chhūne se bhī arzānī nahīñ jaatī
ka.ī chehroñ ne āvāzoñ ne dil ābād rakkhā hai
magar āñkhoñ meñ raqsāñ hai jo vīrānī nahīñ jaatī
mujhe apnī numū ke vāste tum se bichhaḌnā hai
tumhāre saath rahne se tan-āsānī nahīñ jaatī
maiñ is dil kī sabhī sachchā.iyāñ taslīm kartā huuñ
magar ik baat aisī bhī hai jo maanī nahīñ jaatī
hujūm-e-shor-o-ġhul meñ kaun thā kis ne pukārā thā
yahāñ to apnī bhī āvāz pahchānī nahīñ jaatī
'samīr' is ishq meñ insān kyā itnā badaltā hai
maiñ ḳhud par ġhaur kartā huuñ to hairānī nahīñ jaatī
bahut shadab ho lekin bayabani nahin jati
ki baam-e-auj chhune se bhi arzani nahin jati
kai chehron ne aawazon ne dil aabaad rakkha hai
magar aankhon mein raqsan hai jo virani nahin jati
mujhe apni numu ke waste tum se bichhaDna hai
tumhaare sath rahne se tan-asani nahin jati
main is dil ki sabhi sachchaiyan taslim karta hun
magar ek baat aisi bhi hai jo mani nahin jati
hujum-e-shor-o-ghul mein kaun tha kis ne pukara tha
yahan to apni bhi aawaz pahchani nahin jati
'samir' is ishq mein insan kya itna badalta hai
main KHud par ghaur karta hun to hairani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.