bahut shadab tha raftar-e-jaan se
bahut shādāb thā raftār-e-jāñ se
musāfir thak gayā hai kārvāñ se
dil-e-ḳhush-kām terī ḳhush-mizājī
baḌhā.ī jā rahī lutf-e-ziyāñ se
ḳhalāoñ ke samundar meñ gire haiñ
sadā.eñ lauT kar aa.eñ kahāñ se
maiñ apne saath jis ko Dho rahā huuñ
bichhaḌtā jā rahā ahl-e-jahāñ se
zamīñ kī dhun meñ utrā āsmāñ se
sitārā miT gayā ḳhud dāstāñ se
bahut shadab tha raftar-e-jaan se
musafir thak gaya hai karwan se
dil-e-KHush-kaam teri KHush-mizaji
baDhai ja rahi lutf-e-ziyan se
KHalaon ke samundar mein gire hain
sadaen lauT kar aaen kahan se
main apne sath jis ko Dho raha hun
bichhaDta ja raha ahl-e-jahan se
zamin ki dhun mein utra aasman se
sitara miT gaya KHud dastan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.