bahut sukun hai qanaat ki zindagi se mujhe
bahut sukūñ hai qanā'at kī zindagī se mujhe
qubūl kar liyā jo mil gayā ḳhushī se mujhe
vo aadmī jise samjhā thā maiñ ne abr-e-karam
sulagtā chhoḌ gayā vo bhī ḳhāmushī se mujhe
libās maiñ bhī pahan letā ajnabiyyat kā
agar ye jāntā milnā hai ajnabī se mujhe
mujhe ye fikr adhūrī hai us kī zaat magar
use ye zid ki mukammal kaho abhī se mujhe
vaqār thā mirī bātoñ meñ is liye bachcho
mire buzurg bhī sunte the ḳhāmoshī se mujhe
maiñ dushmanoñ se to bach kar nikal hī jā.ūñgā
hai ḳhauf apne hī andar ke aadmī se mujhe
harīf kaun thā ye kaisī jang thī tā-'umr
ki jis meñ haar hī jaanā paḌā kisī se mujhe
jise pasand na thī merī shaḳhsiyat 'kausar'
vo dekhtā rahā ehsās-e-kamtarī se mujhe
bahut sukun hai qana'at ki zindagi se mujhe
qubul kar liya jo mil gaya KHushi se mujhe
wo aadmi jise samjha tha main ne abr-e-karam
sulagta chhoD gaya wo bhi KHamushi se mujhe
libas main bhi pahan leta ajnabiyyat ka
agar ye jaanta milna hai ajnabi se mujhe
mujhe ye fikr adhuri hai us ki zat magar
use ye zid ki mukammal kaho abhi se mujhe
waqar tha meri baaton mein is liye bachcho
mere buzurg bhi sunte the KHamoshi se mujhe
main dushmanon se to bach kar nikal hi jaunga
hai KHauf apne hi andar ke aadmi se mujhe
harif kaun tha ye kaisi jang thi ta-'umr
ki jis mein haar hi jaana paDa kisi se mujhe
jise pasand na thi meri shaKHsiyat 'kausar'
wo dekhta raha ehsas-e-kamtari se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.